Shaayar Lyrics — Seedhe Maut X Bharat Chauhan

Song Credits: Shaayar is a Hindi Rap song performed by Bharat Chauhan & Seedhe Maut with lyrics also written by Bharat Chauhan & Seedhe Maut, under the production of Calm. You will get Shaayar Seedhe Maut Lyrics below.

Shaayar Seedhe Maut Lyrics

Sab kuch likhoon ya kuch bhi na likhoon?
Kya hi likhoon ke tujhko na likhoon?
Bhatka raha hoon andheron mein yun hi
Naraz chaand hai ya taaron ki kami?

Jo khwaab dekhe the aankhon ne kabhi
Un khwaabon ki kahi hai raakh bhi nahi
Kaha tha mujhko jisne “ghar” kabhi
Rukhsat hua, jala gaya sabhi

Wafa se hi mujhe wafaat ki ummeed
Hain gham mile to aaj kareeb
Meri shayari se na mujhko aanko
Kalam chhodoon main, mujhmein jhanko

Kalam main chhodoon jab, dikhunga jaisa hoon
Parda hatayegi tu bagal mere
Par bagal mein rehna tu, na nakal tu rah
Agar tu nakal to teri kya main?

Ye shayari hai tere layak nahi
Aur ab bhi hai teri yahan kami
Ye khali ghar hai sookhi nadi
Tu hai yahan jalpari bani

Gira ke mujhe in andheron mein, saath aaya hai
Ajab shakhs hai, qatl bhi kiya
Chhu ke jalaya hai

Jalna nahi, tu sooraj nahi
Dikhe to hai ujala, nahi andhera
Aur har raat alag bhes
Aa ghumaun tujhko desh mein

Garjate ye badal, baarish ho rahi hai
Main chillaa raha hoon dard se
Soch raha hoon, “Uska arth kya hai?”
Soch raha hoon, “Mera farz kya hai?”

Na, main nahi shayar
Banane ki fitrat hai dil mein
Main nahi kaayar, main mahir
Main duniya ghumoon pahiya aur tire
Main fire, chahte main retire

Aur haan, mera chaand nahi dikha
Baadal aaye, baadal barse
Kai raat ki amaavas aayi
Phir chaand aaya par vaisa nahi

Meri shayari se na mujhko aanko
Jahan kalam chhodoon main,
Vahan mujhmein jhanko
Meri shayari se na mujhko aanko
Jahan kalam chhodoon main,
Vahan mujhmein jhanko

About Song

Song:Shaayar
Artist:Bharat Chauhan & Seedhe Maut
Album:Shaayar (Single)
Writer:Bharat Chauhan & Seedhe Maut
Producer:Calm

YouTube Video

Sharing is Caring.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *